Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

+7
vintage
Ali husnain
Noor
nadeem akhtar
jimmy
sadar
SilverEye
11 posters

Page 3 of 11 Previous  1, 2, 3, 4 ... 9, 10, 11  Next

Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Wed Jul 16, 2008 10:59 pm

Phir chala hoon main bhatakne har gali tere liye !
Aaj bhi betab hai yeh zindagee tere liye !!

Gar hua pahra andheron ka tere rukhsaron per !
Bhasm kar khud ko karoonga roshni tere liye !!

Bin tere zindagee mujhse basar hoty nahee !
Dil mera bechain hai ab har gharee tere liye !!

Dard ki dahleez per baitha hoon dera daalkar !
Aaj de doonga main apni jaan bhi tere liye !!

Jiski tujhko arzoo bhi mudaton se humnawan !
Le ke phir main aa gaya hoon woh khushi tere liye !!

Jo bhi samjhe yeh jahan tujhse kuch itna pyaar hai !
Main karoonga zindagee bher shairee tere liye !!

Tootti hi ja rahee 'Rahman' sanson ki ladee !
Maine likh dalee ghazal yeh aakhiri tere liye !!
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Wed Jul 16, 2008 11:01 pm

Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi


Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi


Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi


Qayam Karti Thi WO Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi


Tamam Raat WO Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay WO Lamhe Talash Karti Thi


Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi


Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi


Tamam Raat WO Zakhma Ke Apni Pooron KO
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi


Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi


Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne ''Wasi"
WO Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Wed Jul 16, 2008 11:06 pm

Akele chand ko takna to mujh ko yaad ker lena...
kisi bhi baat pe hansna to mujh ko yaad ker lena...
Bohat say kaam aisay hain jinhein kerna zarori hay
zarori kaam ko kerna to mujh ko yaad ker lena...
mohabat wo haqeqat hay jisay badla na jaey ga
Kitab-e- ishq ko perhna to mujh ko yaad ker lena...
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Wed Jul 16, 2008 11:11 pm

Kabhi Aansoo, kabhi Khushboo, kabhi Naghma ban kar
Hum se her shaam mili hai tera CHEHRA ban kar ;

Chaand nikla hai teri Aankh ke Aansoo ki tarah
Phool mahke hain teri Zulf ka Saaya ban kar ;

Meri Jaagi hoi Raaton ko Osski hai Talaash
So raha hai meri Aankh mein jo Sapna ban kar ;

Dil ke Kaghez pe Uttarta hai woh Shairon ki tarah
Mere Honton pe machalta hai woh Naghma ban kar ;

Raat bhi ho toh boujhti nahi Chehray ki Chamak
Rooh mein phail gaya hai woh Ujaala ban kar ;

Mera kya Haal hai, yeh Aa ke kabhi dekh toh le
Jee raha hoon tera bhoola howa Waada ban kar ;

Dhoop mein kho gaya woh Haath chhuda kar Sajid
Ghar se jo saath chala tha mera Saaya ban kar ;

KHABHI AANSOO, KABHI KHUSHBOO, KABHI NAGHMA BAN KAR
HUM SE HER SHAAM MILI HAI TERA CHEHRA BAN KAR !
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by jimmy Thu Jul 17, 2008 1:00 am

excellent yaar
@ zuhaib
jimmy
jimmy
Admin
Admin

Number of posts : 29
Age : 41
City of Belonging : lahore
Course /Year : old student
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty ok

Post by sadar Thu Jul 17, 2008 2:00 am

Zuhaib wrote:Akele chand ko takna to mujh ko yaad ker lena...
kisi bhi baat pe hansna to mujh ko yaad ker lena...
Bohat say kaam aisay hain jinhein kerna zarori hay
zarori kaam ko kerna to mujh ko yaad ker lena...
mohabat wo haqeqat hay jisay badla na jaey ga
Kitab-e- ishq ko perhna to mujh ko yaad ker lena...

theek hai baba hum aap ko yad kr len ge..... :-)
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty zabardast

Post by sadar Thu Jul 17, 2008 2:02 am

Zuhaib wrote:Kabhi Aansoo, kabhi Khushboo, kabhi Naghma ban kar
Hum se her shaam mili hai tera CHEHRA ban kar ;

Chaand nikla hai teri Aankh ke Aansoo ki tarah
Phool mahke hain teri Zulf ka Saaya ban kar ;

Meri Jaagi hoi Raaton ko Osski hai Talaash
So raha hai meri Aankh mein jo Sapna ban kar ;

Dil ke Kaghez pe Uttarta hai woh Shairon ki tarah
Mere Honton pe machalta hai woh Naghma ban kar ;

Raat bhi ho toh boujhti nahi Chehray ki Chamak
Rooh mein phail gaya hai woh Ujaala ban kar ;

Mera kya Haal hai, yeh Aa ke kabhi dekh toh le
Jee raha hoon tera bhoola howa Waada ban kar ;

Dhoop mein kho gaya woh Haath chhuda kar Sajid
Ghar se jo saath chala tha mera Saaya ban kar ;

KHABHI AANSOO, KABHI KHUSHBOO, KABHI NAGHMA BAN KAR
HUM SE HER SHAAM MILI HAI TERA CHEHRA BAN KAR !



pta hai kisi ne gaie bhi hui hai bht achi hai
gaa k b sunao
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 4:02 am

for u @ Above

Mein titliyoon ko sula doon ga zara tum sham honey do
Mein jugnuoon ko jaga doon ga zara tum sham honey d

Kahan aagaz hona hai,kahan anjaam hona hai
Hunar saray sikha doon ga zara tum sham honay do

Mujhya itni maharat hai k main sa'ada say lafzoon main
Tumhay dilkash bana doon ga zara tum sham honay do

Meri namnaak aankhoon ko na deakhoo tum haqarat say
Main tum ko bhi rula doon ga zara tum sham honay do

Tumhain qaidi banaya hai ujaar aankhoon ki hasrat ka
Rehayi bhi dila doon ga zara tum sham honey do

Kahan hoge tumhari sham tum nay mujh say pucha hai
Jahan hoge bata doon ga zara tum sham honay do...!!

Muje Is Hunar pe kamaal nahi hai laikin....
Tumhe Ga k suna dunga Zra tum sham honey do


Last wala khud Likha hai...... Smile
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by sadar Thu Jul 17, 2008 6:27 am

hmmmmmmmmmmmmmmmm
bht achi hai especially last one...:-)

gana aae ya na aae gana chahiye
gana aae ya na aae gana chahiye
.
.
.
.dhande dhande pani se nahana chahiye
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by sadar Thu Jul 17, 2008 6:27 am

Fraz us ki hansi me chupe dard ko mehsoos to kr
wo to unhi hans hans k khud ko saza deta hai......
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 6:29 am

ok. gud.
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 6:32 am

Yaar bhii raah kii deewaar samajte hain mujhe
main samajta tha mere yaar samajte hain mujhe

main to yun chup hoon k andar se buhut khaalii hoon
aor sab log pur-israar samajte hain mujhe

main badalte hue haalaat mein dhal jaata hoon
dekhne wale adaa'kaar samajte hain mujhe

woh jo uss paar hain unn k liiye iss paar hoon mein
woh jo iss paar hain uss paar samajte hain mujhe

naik logoN mein mujhe naik gina jaata hai
aor gunah'gaar, gunah'gaar samajte hain mujhe
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by sadar Thu Jul 17, 2008 7:40 am

aansu ko kabhi oas ka katra na samjhna
aisa tumhe chahat ka samundar na mile ga
ye soch lo k ab akhri sahara hai mohabat
is dar se utho ge to koi dar na mile ga.....
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 9:15 am

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..


Tumharay baad Chahat Kay Sabhi Panchi Ur Jaien,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Teri Tasweer, Adhooray Khat To Jala Diye Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Kay Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat Kay Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Saahil Ki Woh Mitti Kay Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain.....
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 9:17 am

Naye gham Ki Khushi Mein Khwab-e-Rafta Kho Diya Hum Nay
Mila Woh Chaand To Apna Sitaara Kho Diya Hum Nay

Kahein Kis Say Ke Hum Ne Bhi Tumharey Khawab Daikhey Thay
Huwa Phir Yoon Ke Sapnon Ka Asaasa Kho Diya Hum Nay

Makaan Taareek Tha To Khaal-o-Khad Mein Bhi Tawazan Tha
Nazar Mein Chandni Utri To Chehra Kho Diya Hum Nay

Bhala Pehchaan Kaisey Ho Jahan Itni Sadaaein Hon
Namoo Ke Shoq Mein Resham Sa Lehja Kho Diya Hum Nay

Ghana Taareek Jangal Hai Aur Aahon Ke Ta:aqub Mein
Abb Itni Door Aa Nikley Ke Rasta Kho Diya Hum Nay…
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 9:21 am

Main?

khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun main
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun main

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun main
vaqt ke sehraa maen ubhra saraab sa hun main

kuch dam ka hun mehmaan hubaab sa hun main
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun main

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun main
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun main

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun main
bigde huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun main

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun main
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun main

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun main
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun main

kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun main

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun main
haqiqat ho kar bhi kyon "fer" khwaab sa hun main
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 9:25 am

Chand Ko kya Khabar

Kitney Zulfein Khilein Kitnay Anchal Uray Chand Ko Kia Khbar
Kitna Matam Hua Kitney Ansoo Bahay Chand Ko Kia Khbar

Mudatoon Uss Ki Khwahish Mein,, Sath Chaltay Rahay Haath Ata Nahi
Chah Mein Us Ke Pairoon Mein Hein Aab-lay Chand Ko Kia Khabar

Wo Jo Nikla Nahi Tu Bhataktay Rahay Hien Musafir Kaey
Aur Lut'tay Rahay Hien Kaey Qaflay Chand Ko Kia Khabar

Uss Ko Dawaa Bohat Methay Pan Ka Wasi Chandni Say Kaho
Uss Ki Kirno Say Kitnay He Ghar Jal Gaein Chand Ko Kia Khabar
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 17, 2008 9:49 am

Suna hai laug ussay aankh bhar ke dekhtey hain,
So uss k shehr main kuch din theher k dekhtey hain

Suna hai rabt hai uss ko kharaab haalo'n se,
So apney aap ko barbaad ker ke dekhtey hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz uski,
So hum bhi uss ki gali se guzar k dekhtey hain..

Suna hai usko bhi hai sher-o-shaiyrii se shughaf,
So hum bhi mau'jzay apney hunar ke dekhtey hain

Suna hai bolay to baaton se phool jhartey hain,
Ye baat hai to chalo baat ker ke dekhtey hain

Suna hai raat ussey chaand takta rehta hai,
Sitaarey baam-e-falak se utar ke dekhtey hain..

Suna hai din ko usay titliaa'n sataati hain,
Suna hai raat ko jugnoo theher ke dekhtey hain

Suna hai hashr hain uss ki ghazal si aankhain,
Suna hai uss ko hiran dasht bhar ke dekhtey hain...

Siyaah chashm to dekhay hain per na aisay bhi,
K uss ko surma farosh aah bhar ke dekhtey hain

Suna hai uss ke labo'n se gulaab jaltey hain,
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtey hain

Suna hai aaina tamsaal hai jabee'n uski,
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtey hain

Suna hai jab se hamaail hain uss ki gardan main,
Mizaaj aur hi la'al-o-gohar ke dekhtey hain.

Suna hai chashm-e-tasawwar se dasht-e-imkaa'n mein,
Palang zaaviye uss ki kamar ke dekhtey hain

Suna hai uss k badan ki taraash aysii hai,
Ke phool apni qaba'ain kutar ke dekhtey hain

Wo sar-o-qad hai magar be-gul-e-muraad nahi,
Ke us shajar pe shagoofey samar ke dekhtey hain.

Nazar uthey to ye samjho k deen-o-dil to gaye,
So rehrawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtey hain..

Rukay to gardishain uss ka tawaaf kerti hain,
Chaley to uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain

Kahaniyaa'n hi sahi,sab mubaalghey hi sahi,
Agar woh khawaab hai,ta'abeer ker ke dekhtey hain

Kisay naseeb ke be-pairhan ussay dekhey,
Kabhi kabhaar,dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain.

Ab uske shehr mein tehrain k kooch ker jaayin,
Faraaz! aao sitaarey safar ke dekhtey hain....!
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by sadar Fri Jul 18, 2008 4:49 am

suljha hua sa fard samjhte han mje log
uljha hua sa mje me koi dusra bhi hai.......
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Sat Jul 19, 2008 12:04 am

Ab milain ge to khuub rulayain ge us sangdil ko faraz,
Suna hai rote mai usko lipat jane ki aadat hay.....
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Sat Jul 19, 2008 12:07 am

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum

Hum ney juh hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum

Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by sadar Sat Jul 19, 2008 4:42 am

har aadat pe mohabat ko saja kr milna
rasme duniya hai haqiqat ko chupa kr milna

jis ka kardar hai sitaron ki trha roshan
kitna mushkil hai us shakhs ko ja kr milna

tum mohabt ko bhi faraib samjhte ho FARAZ
hamari to ada hai ankhon ko jhuka kr milna....
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 20, 2008 6:44 am

Ungaliyan toot gaen pather tarashtay tarashtay Mohsin...
Or jab bani soorat-e-yar to kharidar Aaa gaye...


Last edited by Zuhaib on Sun Jul 20, 2008 8:37 pm; edited 1 time in total
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 20, 2008 6:59 am

Zabt-e-gum koi aasan kaam nahi hy Faraz..
Aag hoty hain wo ansu jo piey jaaty hain...
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

 - Page 3 Empty poem

Post by sadar Mon Jul 21, 2008 7:27 am

daadi ama kehti han
chand pe pariyan rehti han
apne par phelati han
chup kr k so jati han............
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

 - Page 3 Empty Re:

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 3 of 11 Previous  1, 2, 3, 4 ... 9, 10, 11  Next

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum