Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

+7
vintage
Ali husnain
Noor
nadeem akhtar
jimmy
sadar
SilverEye
11 posters

Page 1 of 11 1, 2, 3 ... 9, 10, 11  Next

Go down

Empty Ur Fav Poem...

Post by SilverEye Tue Jul 08, 2008 8:52 am

Wrte here ur fav POems.........
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Tue Jul 08, 2008 8:52 am

Kabhi Usse bhi

Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi
Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi
Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi
Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi
Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi
Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na aati hogi
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Tue Jul 08, 2008 8:54 am

For Lahorain Sad

Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aisa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko. . .
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Tue Jul 08, 2008 8:55 am

Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Gaa
Dekhoon Gaa Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Loon Gaa

Aana Ho To Aa Jao Ruswayee Nahi Ho Gee
Dekhe Ga Nahi Koi Palkon Main Chupa Loon Gaa

Jo Ham Per Guzarni Hai Ik Bar Guzar Jaye
Her Gham Ki Tarha Tujh Ko Seene Se Laga Loon Gaa

Weeran Agar Dil Ho Ankhon Main Andhera Ho
Yaadon Ke Diye Apni Palkon Main Saja Loon Gaa

Manzoor Agar Ho Gee Ruswayee Teree Mujh Ko
Main Beth Ke Sahil Se Toofaan Utha Loon Gaa

Naraaz Agar Wo Hain Mere Nasheman Se,
Main Apnay Nasheman Ke Tinkon Ko Hata Loon Gaa

Kyon Mujh Se Khafa Ho Ker Wo Door Gaye
Baanhon Main Wo Aa Jayain Main Un Ko Mana Loon Gaa
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Tue Jul 08, 2008 8:59 am

My Most fav.....

Kal raat jane kya howa...
Kuch dier pehle neend se...
Kuch aask milne aagaye...
Kuch khawab bhi tote howe...
Kuch log bhi bhoole howe...

Kuch rasta bhatki hoi...
Kuch gard mien lipti hoi...
Be rabt se sochien kai...
Bhooli hoi batien kai...

Ek shaks ki yaadien kai...
Phir dier tak jaga raha...
Sochon mien gum betha raha...
Ungli se thande farash per...

Ek naam bus likhta raha...
Kaal raat he wo raat thi...
Kuch dier pehle neend se...
Main dier tak rota raha...
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty ARZ KIA HAI.....

Post by sadar Tue Jul 08, 2008 10:56 pm

jab woh mje se chup k roya tb ye baat khuli,
kehne ko hum aik hain lakin dukh to apna apna hai.....
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Tue Jul 08, 2008 11:13 pm

nice one@above
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty ARZ KIA HAI.....

Post by sadar Tue Jul 08, 2008 11:45 pm

kabhi ye naaz k wo mera hai faqt mera
kabhi ye dar k wo mje se naraz to nhi
kabhi ye dua k milen jahan ki khushiyan us ko
kabhi ye khauf k wo khush mere bina to nhi
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty Re:

Post by jimmy Wed Jul 09, 2008 1:48 am

sadar wrote:jab woh mje se chup k roya tb ye baat khuli,
kehne ko hum aik hain lakin dukh to apna apna hai.....

excellent yaar
jimmy
jimmy
Admin
Admin

Number of posts : 29
Age : 41
City of Belonging : lahore
Course /Year : old student
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty wah wah wah....

Post by sadar Wed Jul 09, 2008 2:51 am

Chahat bre wo lafz aur har lafz main dua
maqrooz kr dia hai tumhare khaloos ne.....
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Thu Jul 10, 2008 7:54 am

ik barsaat ka din tha
koi bheega huwa sa tha
bohat maasoom sa chehra
k jis ki ankh main roshan
sitaray kai hazaaro thay
laga tha lub per aaj us k
qudrat nay rung utaray hain
woh hathoo main haseen kangan
Or payal paoo main chankay,
tha kajal aankh main bikhra
or honto per woh til tera
woh barish ki jub sard bondaien
uskay chehray per chalti thien
woh palkoo ko mila layna
khud ko khud main chupa lay na
khushi main jhoom sa jana
usay bay dhang karta tha
hawa bhi tung karti thi
woh phir anchal sammet tay thay
kabhi khud per lappet tay thay
u he woh shaks barish main
kbhi phir baykhyali main
bheegta tha bikharta tha
mujhay woh acha lagta tha
K barish kaash roz hoti
duwa main roz karta tha
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty friends....my property

Post by sadar Thu Jul 10, 2008 9:52 am

Wo jis k pas rehta tha doston ka hajoom
suna hai FRAAZ kal raat ehsas-e-tanhai se mar gya
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 13, 2008 5:16 am

Boht Si BeSabab Baatain??Faqt Tamheed Hoti Hain??Jo Aksar TumSe Kehta Huñ??"Sunaao Aur Kese Ho"?"Suno Garmi Boht Hai Naa"?"Nahi Mosam To Acha Hai"?"Chalo Acha Mai Chalta Hun"?"Doobara Fone Kr Looñ Ga"??Ye Saari BeSabab Baatain??Faqt Tamheed Hoti Hain??Aur ¡S Tamheed Mai Jaana??Guzar Jaate Hain Sab Lamhe??Guzar Jate Hain Jab Lamhe??To Phir Mai Sochta Hun K??Zara Si Baat Hi To Hai??Tumhe Jaldi Se Keh Dooñ Ga??Mujhe "TUMSE" Muhabat Hai?Boht Zyada Muhabat...!
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 13, 2008 5:28 am

Chaand Ko Sitaaro'n Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Phoolo'n Ko Baharo'n Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Mehfil Main Jo Milna Nigahain Jhuka Lena
Koi Samajh Na Paye K Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Ab Tere Hijr Main Bas Ek Kaam Hai Aasman Takna
Tum Sitaaro'n Pe Likh Dena Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Hai Humain Bhi Ehsaas Tum Ko Bhi Hum Se Pyar Hai Lekin
Ye Mere Rubaru Kehna Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 13, 2008 5:33 am

Kisi K Khwab Main Utra Na Qurbaton Main Raha
Sitam Tou Ye Hai K Phir Bhi Wazahato'n Main Raha
Khud Apni Zaat Tak Ka Adraak Bhi Na Ker Paya
Main Khalwato'n Se Nikal Ker Bhi Wehshato'n Main Raha
Mera Wajood Raha Jins Be-Talab Ki Terha
Main Lafz Deta Gaya Khud Izafato'n Main Raha
Haroof Jis K Tarashey Jisey La-Taab Kia
Khud Is Kitaab Ki Minha Ibarato'n Main Raha
Bohat Gumaan Tha Khud Tez Kaam Hone Ka
Jo Qafley Se Nikla Tou Rasto'n Main Raha
Qarar Milta Bhi Kaise Kisi Peher
Thak K Bhi Main Hamesha Mussafato'n Main Raha
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 13, 2008 5:59 am

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi....
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...
Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay....
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...
Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say...
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..
Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay....
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga...
Ho k Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.....
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga...
Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga....
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 13, 2008 6:00 am

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai
Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai
Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hait
Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai
Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai.
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Sun Jul 13, 2008 6:01 am

Suno tum lot aao na
wo dekho chand nickla hai
hamari muntazir aankhein
duaayain maangti aankhein
tumhein hi sochti aankhein
tumhein hi dhondti aankhein
tumhein wapis bolati hein
ye dil jab bhi dharakta hai
tumhara naam laita hai
ye aanso jab bhi behtay hein ?tumharay dhukh mein behtay hein
k barish jab bhi hoti hai
tumhein hi yaad karti hai
khoshi koi jo aayai bhi
tumharay bin adhori hai
suno tum lot aao na
suno tum lot aao na
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by sadar Sun Jul 13, 2008 6:57 am

Kehne ko mera us se koi wasta nhi
mgr wo shakhs AMJAD mujhe bhulta nhi....
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Mon Jul 14, 2008 3:17 am

~*~Tum Routh Jao Mujhse~*~
~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~

~*~Main Ek Nazar Ko Tarsoon~*~
~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~

~*~Main Pooch Pooch Haroon~*~
~*~So So Sawal Kar K~*~

~*~Tum Kuch Jawab Na Do~*~
~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~

~*~Mujhse Hi Mil K Hansna~*~
~*~Mujhse Hi Mil K Rona~*~

~*~Mujhse Bicher K Jee Lo~*~
~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~

~*~Tum Chand Ban K Rehna~*~
~*~Main Dekhta Rahoon Ga~*~

~*~Kisi Roz Tum Na Niklo~*~
~*~Aisa Kabhi Na Kerna~*~

~*~Tum Chalay Jao Jab Bhi~*~
~*~Tu Dekhoon Tumhara Rasta~*~

~*~Tum Loat K Na Aao~*~
~*~Aisa Kabhi Na Karna~*~
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Mon Jul 14, 2008 5:03 am

Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne Bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya


Mein hoon Gardishon ka maara huwa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Raston main ganwaa diya


Jiss ko samjha tha tu ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere Haath ki lakeer tha,usey tu ne haath se hi mita diya


Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya


Yeh udasiyoo ka jamal hai , ke maraivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya , to kabhi shehar bhar ko suna diya


Meri umar ka Gulistan abhi khula huwa hai zaroor par
Wo jo phool they teri chah ke unko mausamo ne gira diya
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty Re:

Post by SilverEye Mon Jul 14, 2008 5:08 am

roak daity hai shaariyyat k taqaaze wrna
mAIN tere zikr ko hr zikr se afzal krta
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty My Most Fav

Post by SilverEye Mon Jul 14, 2008 5:10 am

Raah mein chalte chalte , pucha paon k challon ne,


kyun basti duur basali hai, Dil me busne walo ne.....
SilverEye
SilverEye
Chief Moderator
Chief Moderator

Number of posts : 622
Age : 36
City of Belonging : Heart Nagar
Course /Year : Dvm/2007-2012
Registration date : 2008-06-27

Back to top Go down

Empty PARVEEN SHAKAR

Post by sadar Mon Jul 14, 2008 7:17 am

Inhi pathron pe chal k gar a sko to aao
mere ghar k raste me ko kehkashan nhi hai
sadar
sadar
Staff Member
Staff Member

Number of posts : 379
Age : 33
City of Belonging : lahore
Course /Year : fisheries and aquaculture 1st year
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty Re:

Post by jimmy Mon Jul 14, 2008 12:03 pm

Inhi pathron pe chal k gar a sko to aao
mere ghar k raste me ko kehkashan nhi hai


Last edited by Zuhaib on Mon Jul 14, 2008 9:01 pm; edited 1 time in total (Reason for editing : mistake)
jimmy
jimmy
Admin
Admin

Number of posts : 29
Age : 41
City of Belonging : lahore
Course /Year : old student
Registration date : 2008-07-08

Back to top Go down

Empty Re:

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 1 of 11 1, 2, 3 ... 9, 10, 11  Next

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum